Ae Shareef Insano ..... (Sahir Ludhianvi)


khoon apna ho ya paraya ho,
nasl-e-adam ka khoon hai aakhir;

jang mashriq mein ho ya maghrib mein,
aman-e-alam ka khoon hai aakhir.
(Nasl-e-adam : humanity, mashriq-maghrib : east-west)

jang to khud hi ek maslaa hai,
jang kyaa maslon ka hal degi;
aag aur khoon aaj bakhshegi,
bhookh aur ehtiyaaj kal degi.
(masla : problem, ehtiyaaj : needs)

bartaree ke saboot ki khatir,
khoon bahana hi kya zaroori hai?
ghar ki tareeqiyan mitane ko,
ghar jalana hi kya zaroori hai?
(bartaree : greatness)

Bomb gharon par giren ke sarhad par,
Rooh-e-taameer zakhm khati hai;
Khet apne jalein ke auron ke,
Zeest faaqon mein tilmilati hai.
(Rooh-e-taameer : spirit of construction, Zeest : Life,Faaqon mein tilmilati hai : wrecked by starvation)

Tank aage badhe ke peeche hate,
Kokh dharti ki baanjh hoti hai;
Fateh ka jashn ho ke haar ka soug,
Zindagi maiyaton pe roti hai.
(Kokh : womb, baanj : barren, Fateh : victory, Jashn : celebration,Soug : lament, Maiyaton : corpses)

Isliye ae shareef insaano,
jang taltee rahe to behtar hai;
aap aur ham sabhi ke aangan mein,
shama jalti rahe to behtar hai.
-- by Sahir Ludhianvi

8 comments:

goldendekhane said...

good one....

Strider said...

A Great Great Poem...

rukhsat said...

must've read this nazm nth number of time and I still enjoy it. god bless Sahir Sahib. If only people would listen to him

Imad said...

Tank aage badhe k peeche hate
Kokh dharti ki baanjh hoti Hai
Fateh ka jashn Ho ya haar ka soug
Zindagi maiyato pe roti hai

jsangwan said...

Sahir Sahib, bahut achhi baat kah gaye hain. Yudh ke nateeje kiya hote hain hame samjha gaye hain.

jsangwan said...

Sahir Sahib, bahut achhi baat kah gaye hain. Yudh ke nateeje kiya hote hain hame samjha gaye hain.

Unknown said...

Sahir was a great poet

hs poetry is a best lesson for us

i love u sahir

Harsh Singh said...

This is humanity, wow